Sawal Jawab
Sawal kuch aise, Jo puche nahi kabhi.. Jawab hain jinke, Na mile aaj bhi.. Sawal wo aise, Jo dil me chubh jayein.. Jazbat kuch aise, Jo zuban pe na aayein.. Kuch aisi kahani, Hai sawalon ki mere.. Hain dabe ye man me, Na bayan par hue kabhi.. Aankhon ki nami, Aur dil ki pukar ban jayein.. Man hi man me, Ankahe reh jaayein.. Fir bhi hothon se, Kabhi kahe na jayein... Sawal kuch aise, Jo puche nahi kabhi.. Jawab hain jinke, Na mile aaj bhi..