Kuch Naaya Kuch Purana

Jab achanak kuch purane kisse khul jayein
Wo bhule bisre pal naye palon se jud jayein
Kuch khatte kuch meethe ehsaas taze kar jayein
Tab lagta hai tum ho zindagi..


Jab dekhte hain, kahan the aur kahan aa gye
Kuch nye aur kuch purane sapne sath le aaye
Nayi baton ko samjhte hue purani batein bhi bhul na paye
Tab lagta hai tum ho zindagi..

Kyunki purana hi to man me basta hai
Par naya hai jo tumko badalta hai
Badalte hue man ki maano to
Uska ek alag sa hi maza hai !

Comments

Popular posts from this blog

Hathon se fisalti ret .. ..

Daud

Khamosh dil